Mahmood Shaam

kitne dar wa hain kahin aankh milaen to sahi

Mahmood Shaam

1940
kitne dar vā haiñ kahīñ aañkh milā.eñ to sahī
is na.e shahr se kuchh rabt baḌhā.eñ to sahī
kisī ḳhushbū ke ta.āqub meñ chalīñ gām-do-gām
dhyān meñ chāñdnī kā shahr basā.eñ to sahī
kuchh to kahtī hai sar-e-shām samundar kī havā
kabhī sāhil kī ḳhunuk ret pe jaa.eñ to sahī
kyā ḳhabar oT meñ hoñ us kī manāzir kyā kyā
apne pindār kī dīvār girā.eñ to sahī
dil ke aurāq pe ab taaza hikāyāt likheñ
na.e lamhoñ meñ nayā ḳhuun rachāeñ to sahī
apne bikhre hue zarroñ ko sameTeñ phir se
bazm phir raqs-e-tamannā kī sajā.eñ to sahī
'shām' ye raushnī ye rañg ke phaile hue jaal
ik zarā un ke tilismāt meñ aa.eñ to sahī
Top Urdushayar.com