rāhat-e-nazar bhī hai vo azāb-e-jāñ bhī hai
us se rabt-e-lazzat bhī aur imtihāñ bhī hai
fāsle miTe bhī haiñ aur kuchh baḌhe bhī haiñ
ye safar zarūrī hai aur rā.egāñ bhī hai
umr-bhar kī uljhan de ek pal kā nazzāra
terā ġham haqīqat bhī aur be-nishāñ bhī hai
terī mīThī bātoñ meñ jhiil jhiil āñkhoñ meñ
aag bhī sulagtī hai dard se amaañ bhī hai
tai kareñ to ham kaise fāsle dil-o-jāñ ke
ek ye anā kā pul apne darmiyāñ bhī hai
laakh maiñ tujhe bhūlūñ laakh tū mujhe bhūle
ek rishta-e-benām apne darmiyāñ bhī hai
ishq-e-dil meñ tuġhyānī barf barf hoñToñ par
sar-phirī bhī hai chāhat aur be-zabāñ bhī hai
terī zindagī sargarm merī zindagī uljhan
raqs meñ bhī hai ḳhvāhish aur sargirāñ bhī hai
'shām' jaane kyuuñ ham ne sī liyā hai hoñToñ ko
varna apne hāthoñ meñ vaqt kī inaañ bhī hai