Mahmood Shaam

palken ujaD dil hai bujha ruh so gai

Mahmood Shaam

1940
palkeñ ujaaḌ dil hai bujhā ruuh so ga.ī
ro.e hue bhī yaaro bahut der ho ga.ī
ik vo sadā thī apne to jiine kā hausla
is zindagī ke shor meñ ab vo bhī kho ga.ī
aa.ī to jaise hone lagā matla-e-ġhazal
baiThī to jaise nazm kī takmīl ho ga.ī
kahte the ab na ā.eñge nazroñ ke jaal meñ
mauj-e-nasīm zehn se har azm dho ga.ī
kho.e haiñ us ke sehr meñ hī ahl-e-kārvāñ
us kī nazar jo vaqt-e-safar rañg bo ga.ī
uf ye diloñ meñ phaile ḳhalāoñ kī vus.ateñ
kaise kaheñ ḳhalāoñ kī tasḳhīr ho ga.ī
maiñ huuñ shikār-e-fitna-e-ehsās-e-rañg 'shām'
kis tarah ek jism kī taqsīm ho ga.ī
Top Urdushayar.com