aune-paune ġhazleñ bechīñ nazmoñ kā bevpār kiyā
dekho ham ne peT kī ḳhātir kyā kyā kārobār kiyā
is bastī ke log to sab the chaltī phirtī dīvāreñ
ham ne rañg luTātī shab se ujle dinoñ se pyaar kiyā
zehn se ik ik kar ke terī saarī bāteñ utar ga.iiñ
kabhī kabhī to vaqt ne ham ko aisā bhī nā-chār kiyā
apnā-āp bhī khoyā ham ne logoñ se bhī chhūTā saath
ik saa.e kī dhun ne ham ko kaise kaise ḳhaar kiyā
saare ahd kā bojh thā sar par dil meñ saare jahāñ kā ġham
vaqt kā jaltā ubaltā sahrā ham ne jis dam paar kiyā
jāgtī galiyoñ ūñche gharoñ meñ zard añdherā nāchtā hai
jis lamhe se ham Darte the us ne āḳhir vaar kiyā
shaam kī ThanDī aahoñ meñ bhī terī ḳhushbū shāmil thī
raat ga.e tak peḌoñ ne bhī terā zikr-azkār kiyā