mire liye tirī nazroñ kī raushnī hai bahut
ki dekh luuñ tujhe pal bhar mujhe yahī hai bahut
ye aur baat ki chāhat ke zaḳhm gahre haiñ
tujhe bhulāne kī koshish to varna kī hai bahut
kuchh is ḳhatā kī sazā bhī to kam nahīñ miltī
ġharīb-e-shahr ko ik jurm-e-āgahī hai bahut
kahāñ se lā.ūñ vo chehra vo guftugū vo adā
hazār husn hai galiyoñ meñ aadmī hai bahut
kabhī to mohlat-e-nazzāra nik.hat-e-guzarāñ
laboñ pe aag sulagtī hai tishnagī hai bahut
kisī ne hañs ke jo dekhā to ho ga.e us ke
ki is zamāne meñ itnī sī baat bhī hai bahut