yaad mujhe dilā ga.ī merī vo bevafā.iyāñ
aañkh meñ us kī naqsh thiiñ kitnī kaThin judā.iyāñ
chehre pe kyā azaab the aañkh meñ kitne ḳhvāb the
hoñT khulī kitāb the kahte the sab kahāniyāñ
phailī thī us ke ās-pās gahrī udāsiyoñ kī baas
jhāñk rahī thī saḳht pyaas dahak rahe the jism-o-jāñ
palkoñ pe guzrī sā.ateñ lab par gile shikāyateñ
āñsuoñ meñ hikāyateñ dhaḌkaneñ saañs siskiyāñ
lafz the kuchh kaTe kaTe saañs bhī the baTe baTe
baal the gard meñ aTe chehre pe thiiñ havā.iyāñ
'shām' havā kī siskiyāñ din ke lahū kī surḳhiyāñ
dard-bharī ye dāstāñ phailī haiñ sab karāñ karāñ