jaane kaise maiñ sadā be-bāl-o-par uḌtā rahā
dostoñ ke shahar meñ misl-e-ḳhabar uḌtā rahā
umr kī ye tez-gāmī aur phir terā ḳhayāl
ek saaya sā pas-e-gard-e-safar uḌtā rahā
kaise kaise imtihāñ tū ne liye ai zindagī
phir bhī maiñ bāzū-shikasta umr-bhar uḌtā rahā
jaane kyā samjhā ke us ko le ga.ī pāgal havā
der tak patta shajar se TuuT kar uḌtā rahā
paañv vahshat ne pakaḌ rakhe the sahrā dekh kar
aur tasavvur jānib-e-dīvār-o-dar uḌtā rahā
ik parinda amn kā paalā thā ham ne pyaar se
laakh kaaTe bāl-o-par tum ne magar uḌtā rahā
muntazir is baar bhī āñkheñ raheñ apnī 'ziyā'
koī chehra bādaloñ ke dosh par uḌtā rahā