Mahmood Shaam

ghir gaya hun be-tarah main KHwahishon ke darmiyan

Mahmood Shaam

1940

ghir gayā huuñ be-tarah maiñ ḳhvāhishoñ ke darmiyāñ

jism ke reze uḌātī āñdhiyoñ ke darmiyāñ

kitne chehre kitnī shakleñ phir bhī tanhā.ī vahī

kaun le aayā mujhe in ā.īnoñ ke darmiyāñ

ham kahāñ yaaro kahāñ vo mauja-e-bād-e-nasīm

vaqt pahnā.iyāñ haa.il diloñ ke darmiyāñ

dil pe guzrī jo vo guzrī shahr kyuuñ vīrāñ hue

ek dahshat hai phailī rāstoñ ke darmiyāñ

mudda.ā pinhāñ pas-e-alfāz hai jo paḌh sako

kuchh nahīñ pāoge tum in surḳhiyoñ ke darmiyāñ

jaise ḳhushbū shahr meñ sahrā meñ jaise chāñdnī

yuuñ bikhar jaatā huuñ meñ tanhā.iyoñ ke darmiyāñ

jis ḳhātir sher likhte ho kabhī paḌhtī bhī hai

kab talak uljhe rahoge qāfiyoñ ke darmiyāñ

'shām'-jī bikhre kabhī is dil ke āñgan meñ mahak

zindagī guzregī kab tak āhaToñ ke darmiyāñ

Top Urdushayar.com