bas ek apne hī qadmoñ kī chaap suntā huuñ
maiñ kaun huuñ ki bhare shahr meñ bhī tanhā huuñ
jahāñ maiñ jism thā tū ne vahāñ to saath diyā
vahāñ bhī aa ki jahāñ maiñ tamām saayā huuñ
vo ek moḌ bhī is rah pe aa.egā ki jahāñ
milā ke haath tū bolegā maiñ to chaltā huuñ
tirī judā.ī kā ġham hai na tere milne kā
maiñ apnī aag meñ din raat jaltā rahtā huuñ
ga.e vo roz ki tū bā.is-e-qarār thī jab
tirī jhalak se bhī ab to udaas hotā huuñ
mire baġhair hai mumkin kahāñ tirī takmīl
mujhe pukār ki maiñ hī tirā kinārā huuñ
kabhī to Duub sahī shaam ke samundar meñ
ki maiñ sadā hī javāhar nikāl laayā huuñ