taptī huī rāhoñ pe phirāyā mujhe din-bhar
yuuñ tere tasavvur ne satāyā mujhe din-bhar
dil meñ vo kasak chhoḌ gayā sub.h kā taarā
ik lamha bhī ārām na aayā mujhe din-bhar
vīrān bayābāñ meñ kabhī ujḌe gharoñ meñ
phirtā rahā le kar tirā saayā mujhe din-bhar
detī rahī ye chāñdnī shab-bhar mujhe āvāz
sūraj ne bhī rah rah ke bulāyā mujhe din-bhar
har samt bhare shahr the kyā jāniye phir bhī
tanhā.ī ke ehsās ne khāyā mujhe din-bhar
lahje meñ ghanī chhāñv ke pattoñ kī zabāñ meñ
peḌoñ ne tirā haal sunāyā mujhe din-bhar
ik pal meñ hī batlā ga.iiñ dam toḌtī kirneñ
vo raaz jo ai 'shām' na paayā mujhe din-bhar