Mahmood Shaam

dil ka ajib haal hai teri sada ke baad

Mahmood Shaam

1940
dil kā ajiib haal hai terī sadā ke ba.ad
jaise ki āsmān kā manzar ghaTā ke ba.ad
kyā kyā nuqūsh ham ne ubhāre the ret par
baaqī rahā na koī bhī vahshī havā ke ba.ad
bikhrī huī thiiñ chār-sū phūloñ kī pattiyāñ
gulshan sañvar sañvar gayā bād-e-sadā ke ba.ad
ab tak fazā meñ gūñjtī hai ek naġhmagī
saarā jahāñ hī raqs meñ hai is sadā ke ba.ad
ab tak jalā rahī hai hameñ tohmatoñ kī dhuup
ham to ujaaḌ ho ga.e fasl-e-vafā ke ba.ad
yādeñ khule kivāḌ ye mahkī huī fazā
kaun aa rahā hai shaam ye ThanDī havā ke ba.ad
Top Urdushayar.com