roz-o-shab kī shāḳh se bichhḌā huā pattā huuñ maiñ
vaqt bhī ab DhūñDhtā hai jis ko vo lamha huuñ maiñ
dil ke shīshe TuuT jaate haiñ mirī āvāz se
ik shikasta saaz se ubhrā huā naġhma huuñ maiñ
ham-nashīnoñ ko kabhī aatī nahīñ hai aañch tak
kitnī ThanDī aag hai jis meñ sadā jaltā huuñ maiñ
zindagī ke shor meñ simTe rahe zarre mire
ik zarā tanhā huā to kis tarah bikhrā huuñ maiñ
rañgtoñ kā sail thā yā ḳhushbuoñ kī lahr thī
ab talak us husn meñ us jhiil meñ Duubā huuñ maiñ
in chamaktī shāh-rāhoñ par kise apnā kahūñ
shahr haiñ ābād apnoñ se magar tanhā huuñ maiñ
'shām' yuuñ to ab ḳhalāoñ meñ haiñ apnī manzileñ
aur dekhūñ to usī dhartī se be-rishta huuñ maiñ