Zia Faruqi

shahr-ashob likhun shahr-e-tamanna likkhun

Zia Faruqi

1947
shahr-āshob likhūñ shahr-e-tamannā likkhūñ
ai dayār-e-ġham-e-jānāñ meñ tujhe kyā likhūñ
nisbateñ saarī adhūrī haiñ to rishta kaisā
ban ke vo mauj uThe ḳhud ko maiñ dariyā likkhūñ
be-hisī itnī ki maiñ ḳhud se bhī begāna rahūñ
dard itnā hai ki begānoñ ko apnā likkhūñ
husn ke ruup haiñ itne ki qalam hairāñ hai
ishq meñ Duub hī jā.ūñ use yaktā likkhūñ
apne ghar kī na.ī tārīḳh ke aurāq pe ab
kahīñ dīmak kahīñ makḌī kahīñ jaalā likkhūñ
ik nazar sāmne dīvār pe chaspāñ kar ke
apnā anjām paḌhūñ us kā sarāpā likhūñ
umr-bhar ek hī tasvīr banā.ī maiñ ne
apnī āvāra-mizājī pe 'ziyā' kyā likkhūñ
Top Urdushayar.com