vaqt ke kitne hī rañgoñ se guzarnā hai abhī
zindagī hai to ka.ī tarah se marnā hai abhī
kaT gayā din kā dahaktā huā sahrā bhī to kyā
raat ke gahre samundar meñ utarnā hai abhī
zehn ke reze to phaile haiñ fazā meñ har-sū
jism ko TuuT ke har gaam bikharnā hai abhī
kaun hai jis ke liye ab bhī dhaḌaktā hai dil
kis ko is ujḌe jazīre meñ Thaharnā hai abhī
ek ik rañg uḌā le ga.ī be-mehr huā
kitne ḳhāke haiñ jinheñ 'shām'-jī bharnā hai abhī