nazar kisī kī nazar se nahīñ ulajhtī thī
vo din bhī the ki yūñhī zindagī guzartī thī
sitāre apne liye ḳhvāhishoñ kī manzil the
hasīn raat hameñ chāñdnī pilātī thī
rahe the apnī havāoñ meñ ek umr magar
bikhar paḌe to har ik gaam apnī hastī thī
yahī bahut thā ki kuchh log aa ke kahte the
vo merā zikr bahut muḳhlisāna kartī thī
nazar meñ pyaar bhī thā aur takallufāt bhī the
kahā kareñge kabhī ham ajiib laḌkī thī
ḳhamosh rahtī thī gahre samundaroñ kī tarah
vo āñkheñ jin se nirī shā.irī bikhartī thī
use mile to phir is baat kā surāġh milā
hameñ ye zindagī kyuuñ itnī pyārī lagtī thī
na jaane kitne hī safhoñ pe dil bikherā magar
na kah sake to vo ik baat hī jo kahnī thī