us ko takte bhī nahīñ the pahle
ham bhī ḳhuddār the kitne pahle
us ko dekhā to ye mahsūs huā
ham bahut duur the ḳhud se pahle
dil nazar aate haiñ ab āñkhoñ meñ
kitne gahre the ye chashme pahle
kho.e rahte haiñ ab us kī dhun meñ
jis ko takte na the pahle pahle
ham ko pahchān liyā karte the
ye tire shahr ke raste pahle
ab ujāloñ meñ bhaTak jaate haiñ
vo samjhāte the añdhere pahle
ab na alfāz na ehsās na yaad
itne muflis na hue the pahle
rañg ke jaal meñ aate na kabhī
paas se dekh jo lete pahle
garm hañgāma-e-kāġhaz hai yahāñ
be-mahak phuul kahāñ the pahle