tū muamma hai to hal is ko bhī karnā hai mujhe
tū samundar hai to phir tah meñ utarnā hai mujhe
tū ne sochā thā ki jalvoñ se bahal jā.ūñgā
aise kitne hī sarāboñ se guzarnā hai mujhe
karb jitnā hai tirī aañkh meñ barsā de magar
isī girdāb meñ phañs kar to ubharnā hai mujhe
phir bapā hai vahī jazbāt kā tūfān to kyā
isī bigḌe hue mausam meñ sañvarnā hai mujhe
in dinoñ chāñd kī tasḳhīr kī hai fikr ki kal
chāñdnī ban ke zamāne meñ utarnā hai mujhe
kis tarah chhoḌ duuñ is shahr ko ai mauj-e-nasīm
yahīñ jiinā hai mujhe aur yahīñ marnā hai mujhe
ruk gayā vaqt palaT aa.ī haiñ biitī sadiyāñ
yahī vo lamha hai jab 'shām' bikharnā hai mujhe