kuchh nazar aatā nahīñ hai vo ujālā kar diyā
sab hī apnā aap bhūle vo tamāshā kar diyā
kaan bhī paḌtī nahīñ hai ab to āvāz-e-zamīr
khokhle zehnoñ ne itnā shor barpā kar diyā
haath ḳhālī haiñ hamāre aur kuchh rabb-e-jalīl
tū ne jo kuchh bhī likhā thā ham ne puurā kar diyā
mas.ale jaise chaTāneñ rahnumā jaise havā
vaqt ne kitne falak-bosoñ ko baunā kar diyā
chuntā phirtā huuñ maiñ apne-āp vahī raat din
zindagī ne yuuñ bikherā reza reza kar diyā