ik samundar shahr ko āġhosh meñ letā huā
ik samundar tere mere darmiyāñ phailā huā
ek jañgal jis meñ insāñ ko darindoñ se hai ḳhauf
ek jañgal jis meñ insāñ ḳhud se hī sahmā huā
ek dariyā jū bujhā detā hai maidānoñ kī pyaas
ek dariyā ḳhvāhishoñ kī pyaas kā chaḌhtā huā
ek sahrā jis meñ sannāTā bagūle aur sarāb
ek sahrā hasratoñ kī ret bikhrātā huā
ek mausam jo badaltā hai nazar ke pairahan
ek mausam muddatoñ se fikr pe Thahrā huā
ek gulshan hai rutoñ ke aane jaane kā asiir
ek gulshan sab rutoñ meñ zehn mahkātā huā