vaqt ke kitne hī dhāroñ se guzarnā hai abhī
zindagī hai to ka.ī rañg se marnā hai abhī
kaT gayā din kā dahaktā huā sahrā bhī to kyā
raat ke gahre samundar meñ utarnā hai abhī
zehn ke reze to phaile haiñ fazā meñ har sū
jism ko TuuT ke har-gām bikharnā hai abhī
ye saje baam javāñ chāñdnī yuuñ lagtā hai
ik sitam aur tire shahr ne karnā hai abhī
ek ik rañg uḌā le ga.ī be-mehr havā
kitne ḳhāke haiñ jinheñ 'shām' jī bharnā hai abhī