Zia Faruqi

rahe dariya-e-suKHan yunhi rawan mere baad

Zia Faruqi

1947
rahe dariyā-e-suḳhan yūñhī ravāñ mere ba.ad
bāñjh ho jaa.e na ġhālib kī zabāñ mere ba.ad
kaun degā unheñ ḳhushbū kā jahāñ mere ba.ad
kis se lipTeñge ye nāzuk-badnāñ mere ba.ad
kū-ba-kū phirtī hai ab chāroñ-taraf āvāra
bū-e-gul ko na milī jā-e-amāñ mere ba.ad
laakh maiñ nañg-e-suḳhan huuñ pa yaqīñ hai mujh ko
log DhūñDeñge mirā tarz-e-bayāñ mere ba.ad
chhoḌ kar jā.ūñgā maiñ ghar meñ ujāle kā subūt
kaam aa.egā ye tāqoñ kā dhuāñ mere ba.ad
yaar sab chal diye bāzār-e-havas kī jānib
ho ga.ī rāh-e-junūñ kam-guzarāñ mere ba.ad
maiñ ki ḳhātam bhī huuñ ḳhud apnī tabī.at kā 'ziyā'
qat huā silsila-e-āh-o-fuġhāñ mere ba.ad
Top Urdushayar.com