sahne ko hijr jab bhī tamannā mazīd kī
maiñ ne vajūd-e-sher se lazzat kashīd kī
dekhā thā raat ḳhvāb meñ sahrā-mizāj shaḳhs
nagrī bhī lag rahī thī vo ḳhvāja farīd kī
ai muftiyān-e-shahr tumheñ ilm hī nahīñ
logoñ ne mere chāñd ko dekhā to iid kī
ye sunnat-e-husain hai so is liye bhī maiñ
bai.at qubūl kī na kisī bhī yazīd kī
ḳhushiyāñ to dastiyāb thiiñ bāzār meñ magar
dānista maiñ ne hijr kī daulat ḳharīd kī