tū jo ab mere muqābil pe khaḌā boltā hai
ye zarā mujh ko batā kitnā mujhe jāntā hai
is suhūlat se to maiñ saañs nahīñ letā huuñ
jis suhūlat se mirā rizq mujhe miltā hai
jis se milte ho use apnā samajh baiThte ho
ik mulāqāt meñ har shaḳhs kahāñ khultā hai
is liye ḳhatm nahīñ hotā kabhī rañj-e-hayāt
saañs letā huuñ to har zaḳhm harā hotā hai
ab mujhe Dhaltī huī umr kā afsos nahīñ
aasrā mere buḌhāpe kā mirā beTā hai