maiñ jab bhī tire shahr-e-ḳhush-āsār se niklā
ik qabr kā TukḌā bhī falak-zār se niklā
har vaar meñ muzmar tirī hikmat hai sipāhī
har jiit kā muzhda tirī talvār se niklā
phir apnī hī haibat meñ giraftār huā maiñ
phir koī dariñda mire pindār se niklā
ye kis ne safīne ko nikālā hai bhañvar se
ye kaun shanāvar hai jo mañjdhār se niklā
kuchh bhī na milā mere ḳharīdār ko mujh meñ
is kā bhī patā chashm-e-ḳharīdār se niklā
ye kaun hai jo ban ke kiran naach rahā hai
ye kaun hai jo rauzan-e-dīvār se niklā
us samt nazar aa.e ġhazālān-e-qabā-posh
is samt 'ziyā' aql ke āzār se niklā