Tariq Jawed

dharti ko main git sunaya karta hun

Tariq Jawed

Multan, Punjab, Pakistan

1992
dhartī ko maiñ giit sunāyā kartā huuñ
peḌ parinde roz nachāyā kartā huuñ
miTTī bhī labbaik pukārā kartī hai
jab zālim se aañkh milāyā kartā huuñ
tere ishq ne mujh ko fan ye baḳhshā hai
paanī pe tasvīr banāyā kartā huuñ
itnī taab kahāñ hai bekas āñkhoñ meñ
sahrā meñ ab ḳhvāb sulāyā kartā huuñ
aksar peḌ ke saa.e baiTh ke us ko maiñ
vāris shaah kī hiir sunāyā kartā huuñ
kuchh din se to niiñd bhī rūThī rūThī hai
shab bhar us ko roz manāyā kartā huuñ
'tāriq' rashk farishte karne lagte haiñ
jab bhī maañ ke pair dabāyā kartā huuñ
Top Urdushayar.com