tumhārī zaat kā pahle gumāñ koī nahīñ thā
hamārā kun se pahle rāz-dāñ koī nahīñ thā
baḌī ḳhush-fahmiyāñ thiiñ saath haiñ ahbāb lekin
jo pīchhe muḌ ke dekhā to vahāñ koī nahīñ thā
Thikāna mil gayā ham ko tumhāre dil meñ āḳhir
ki is se qabl to apnā makāñ koī nahīñ thā
mujhe āvārgī ne jā ke chhoḌā us jagah par
musalsal barf-bārī thī dhuāñ koī nahīñ thā