suntā huuñ maiñ sadā.eñ ye ashkoñ kī jhiil se
ab zindagī guzār to sabr-e-jamīl se
maiñ ne diye kī lau pe tirā ism kyā paḌhā
ik raushnī sī phuuT paḌī thī fasīl se
dil ko sukūn baḳhsh de ai ḳhāliq-e-jahāñ
tañg aa gayā hai ab ye jahān-e-zalīl se
kyoñ raas mujh ko ishq bhī aayā nahīñ miyāñ
kyoñ sāmnā huā mirā hijr-e-qalīl se
'tāriq' ab is qadar bhī na sachche bano yahāñ
rad bhī kiyā na jā sake tum ko dalīl se