gar ek shab bhī vasl kī lazzat na paa.e dil
phir kis umiid par koī tum se lagā.e dil
ik dil tujhe mudām satāne ko chāhiye
tere liye kahāñ se koī roz laa.e dil
utrā na aa ke yaañ koī juz kārvān-e-ġham
mehmāñ-sarā se kam nahīñ yaaro sarā-e-dil
kūche se apne ham ko uThātā hai kis liye
baiTheñ haiñ ham jahān se apnā uThā.e dil
kahte haiñ dardmand 'taraqqī' kā haal dekh
yā rab kabhī kisī pe kisī kā na aa.e dil