mohabbatoñ ke pale kaise nafratoñ meñ Dhale
ye soch soch ke ham shahr terā chhoḌ chale
isī ḳhayāl se kartā nahīñ par-afshānī
mire paroñ kī ragaḌ se kahīñ falak na jale
ye kah rahī thī hasīna tamāsh-bīnoñ se
jo aap log haiñ achchhe to ham bure hī bhale
hayāt o maut kahānī hai sā.ebānoñ kī
kabhī falak ke tale ham kabhī zamīñ ke tale
tire firāq ke sadme qubūl haiñ lekin
jafā ke ba.ad chale to vafā kā daur chale
ye jānashīn-e-qamar merī dastaras meñ nahīñ
diye kī mauj hai bujh kar jale jale na jale
ajab tarīq se utrā visāl kā lamha
paḌe haiñ jaan ke laale lagā ke us ko gale