aks ghaTte baḌhte haiñ shīshagarī hai ek sī
soch ke adse judā haiñ raushnī hai ek sī
zindagī karte haiñ insāñ muḳhtalif andāz meñ
go ki sab kī dastaras meñ zindagī hai ek sī
dostoñ aur dushmanoñ meñ kis tarah tafrīq ho
dostoñ aur dushmanoñ kī be-ruḳhī hai ek sī
soch kā maflūj honā sānehe se kam nahīñ
an-ginat shā.er haiñ lekin shā.erī hai ek sī
sab diloñ meñ jā-guzīñ haiñ ġham ke qisse ek se
sab jabīnoñ par raqam be-raunaqī hai ek sī
'jān' ye sābit huā hai tajrabe kī aañch par
dushmanī hai sau tarah kī dostī hai ek sī