Jan Kashmiri

har rasta pur-bahaar hua hai abhi abhi

Jan Kashmiri

har rasta pur-bahār huā hai abhī abhī
dil dil kā rāzdār huā hai abhī abhī
dāman kī dhajjiyoñ ko sitāroñ se bāñdh kar
koī falak ke paar huā hai abhī abhī
us ko patā nahīñ hai ḳhizāñ ke mizāj kā
vo vāqif-e-bahār huā hai abhī abhī
ishq-e-bashar se ishq-e-ḳhudā mo'tabar huā
ye nukta āshkār huā hai abhī abhī
ashkoñ meñ tair uTThī lahū kī lakīr sī
dil par nazar kā vaar huā hai abhī abhī
aa jā ḳhudā ke vāste aa jā na der kar
dil merā vā-guzār huā hai abhī abhī
maujoñ kī sīna-kūbī batātī hai barmalā
dariyā ke koī paar huā hai abhī abhī
us par likhī thī jān-e-mohabbat kī dāstāñ
dāman jo taar taar huā hai abhī abhī
Top Urdushayar.com