Ravish Siddiqi

ek laghzish mein dar-e-pir-e-mughan tak pahunche

Ravish Siddiqi

Saharanpur, Uttar pradesh, India

1909-1971
ek laġhzish meñ dar-e-pīr-e-muġhāñ tak pahuñche
ham bhaTakte the kahāñ aur kahāñ tak pahuñche
lutf to jab hai ki ai mahram-e-husn-e-guftār
ho koī baat magar husn-e-butāñ tak pahuñche
ye bhī kuchh kam nahīñ ai rah-rav-e-iqlīm-e-yaqīñ
ham ḳharābāt-nashīñ husn-e-gumāñ tak pahuñche
tai huī manzil-e-ḳhārā-shikanī do din meñ
log sadiyoñ meñ dil-e-shīshagarāñ tak pahuñche
zauq-e-shīrīni-e-guftār fuzūñ aur huā
zahr jitne the vo sab ahl-e-zabāñ tak pahuñche
vo kahāñ dard jo dil meñ tire mahdūd rahā
dard vo hai jo dil-e-kaun-o-makāñ tak pahuñche
aag bhaḌkī hai to ab kaun ye kah saktā hai
shola-e-dāman-e-tahzīb kahāñ tak pahuñche
māvarā lafz o bayāñ se hai vo husn-e-azalī
kam-nazar marhala-e-lafz-o-bayāñ tak pahuñche
faiz-e-mehrāb-e-ġhazal hai ki 'ravish' ahl-e-nazar
husn-o-rānā.i-e-andāz-e-bayāñ tak pahuñche
Top Urdushayar.com