umr-e-abad se ḳhizr ko be-zār dekh kar
ḳhush hoñ fusūn-e-nargis-e-bīmār dekh kar
kyā jalva-gāh-e-hasrat-e-nazzāra hai bahisht
hairāñ huuñ sūrat-e-dar-o-dīvār dekh kar
baada ba-qadr-e-zarf sahī rasm-e-mai-kada
saaqī nazākat-e-dil-e-mai-ḳhvār dekh kar
ab justujū-e-dost kī manzil kahīñ bhī ho
ham chal paḌe haiñ raah ko dushvār dekh kar
shāyān-e-jurm-e-ishq na thī qaid-e-zindagī
jī shaad ho gayā rasan-o-dār dekh kar
ab is se kiyā ġharaz ye haram hai ki dair hai
baiThe haiñ ham to sāya-e-dīvār dekh kar
ab hashr tak hijāb-nashīñ hai nigāh-e-shauq
chhupnā thā rañg-e-hasrat-e-dīdār dekh kar
rāz-e-faroġh-e-āḳhir-e-shab kuchh na khul sakā
kyuuñ ḳhush hai sham.a sub.h ke āsār dekh kar
sāz-e-ġhazal uThā hī liyā ham ne ai 'ravish'
is chashm-e-nīm-bāz kā isrār dekh kar