Ravish Siddiqi

shikast-e-rang-e-tamanna ko arz-e-haal kahun

Ravish Siddiqi

Saharanpur, Uttar pradesh, India

1909-1971
shikast-e-rañg-e-tamannā ko arz-e-hāl kahūñ
sukūt-e-lab ko taqāzā-e-sad-savāl kahūñ
hazār ruḳh tire milne ke haiñ na milne meñ
kise firāq kahūñ aur kise visāl kahūñ
mujhe yaqīñ hai ki kuchh bhī chhupā nahīñ un se
unheñ ye zid ki dil-e-mubtalā kā haal kahūñ
tū be-misāl sahī phir bhī dil ko hai isrār
adā adā ko tirī ālam-e-misāl kahūñ
mizāj-e-mahfil-e-gītī agar na barham ho
to rañg-e-aish ko gard-e-ruḳh-e-malāl kahūñ
havā ke dosh pe hai ek shola-e-larzāñ
kahūñ to kyā tirī tahzīb kā ma.aal kahūñ
vo ek ḳhvāb jo tāmīr aap hai apnī
maiñ kyā haqīqat-e-rānā.i-e-ḳhayāl kahūñ
ġhazal kī baat rahegī vahīñ agar sau baar
javāb-e-shoḳhī o rānā.i-e-ġhazāl kahūñ
'ravish' ye sādgi-e-ishq kā taqāzā hai
kamāl-e-hosh ko iḳhlās kā zavāl kahūñ
Top Urdushayar.com