ek hī ghar meñ rakh diye kis ne judā judā charāġh
tere liye jalā charāġh mere liye bujhā charāġh
ishq-o-talab kī raah meñ bād-e-havas bhī tez thī
maiñ ne jalāyā rāt-bhar kar ke ḳhudā ḳhudā charāġh
sub.h huī to āftāb saarī bisāt ulaT gayā
raat usī maqām par raunaq-e-bazm thā charāġh
vaqt-e-sahar jo pūchh le koī to kyā batā.ūñgā
tāq-e-junūñ pe rāt-bhar kis ke liye jalā charāġh
kaun thā mere rū-ba-rū ālam-e-vajd-o-hāl meñ
kis kī nigāh-e-lutf se ban gayā aa.ina charāġh
vādī-e-jāñ meñ daf.atan kaisī ye raushnī huī
kis kī nazar ne kar diye manzar-e-shab meñ vā charāġh
koī ḳhabar na lā sakī jis kī havā-e-tund bhī
rakhte haiñ is maqām kā saarā atā-patā charāġh
taḳhtī-e-shab pe likh diyā vaqt ne ye bhī vāqi.a
zard havā ke sāmne sīna-sipar rahā charāġh
mujh ko 'ziyā' vo chāhiye ghar jo mirā ujaal de
merā na mas.ala qamar merā na mudda.ā charāġh