Ravish Siddiqi

wo nikhat-e-gesu phir ai ham-nafasan aai

Ravish Siddiqi

Saharanpur, Uttar pradesh, India

1909-1971
vo nik.hat-e-gesū phir ai ham-nafasāñ aa.ī
ab dam meñ dam aayā hai ab jaan meñ jaañ aa.ī
har tanz pe rindoñ ne sar apnā jhukāyā hai
us par bhī na vaa.iz ko tahzīb-e-muġhāñ aa.ī
jab bhī ye ḳhayāl aayā kyā dair hai kyā kaaba
nāqūs-e-barhaman se āvāz-e-azāñ aa.ī
us shoḳh kī bātoñ ko dushvār hai dohrānā
jab bād-e-sabā aa.ī āshufta-bayāñ aa.ī
urdu jise kahte haiñ tahzīb kā chashma hai
vo shaḳhs mohazzab hai jis ko ye zabāñ aa.ī
ye ḳhanda-e-gul kyā hai ham ne to ye dekhā hai
kaliyoñ ke tabassum meñ chhup chhup ke fuġhāñ aa.ī
ābād ḳhayāl us kā shādāñ rahe yaad us kī
ik dushman-e-dil aayā ik āfat-e-jāñ aa.ī
ash.ār-e-'ravish' sun kar tausīf o satā.ish ko
'sādī' kā bayāñ aayā 'hāfiz' kī zabāñ aa.ī
Top Urdushayar.com