ishq dushvār nahīñ ḳhush-nazarī mushkil hai
sahl hai koh-kanī shīshagarī mushkil hai
us meñ shāmil hai mirā husn-e-talab bhī ai dost
varna is husn se bedād-garī mushkil hai
lag ga.ī dāman-e-gesū-e-pareshāñ kī havā
hosh meñ aa.e nasīm-e-saharī mushkil hai
masnad-e-lāla-o-raihāñ ho ki ho taḳhta-e-dār
ham-nashīñ chāra-e-āshufta-sarī mushkil hai
ye haqīqat koī arbāb-e-ḳhabar se pūchhe
kis qadar marhala-e-be-ḳhabarī mushkil hai
dil-e-bedār kā ab aur hī aalam hai 'ravish'
lab tak aa jaa.e fuġhān-e-saharī mushkil hai