naqāb-e-shab meñ chhup kar kis kī yaad aa.ī samajhte haiñ
ishāre ham tire ai sham-e-tanhā.ī samajhte haiñ
na samjheñ baat vaa.iz kī ham itne bhī nahīñ nādāñ
kahāñ tak hai bisāt-e-aql-o-dānā.ī samajhte haiñ
tavajjoh phir tavajjoh hai magar ham tere dīvāne
taġhāful ko bhī ik andāz-e-rānān.ī samajhte haiñ
hameñ nā-āshnā samjho na rasm-o-rāh-e-manzil se
kahāñ le jā rahā hai zauq-e-rusvā.ī samajhte haiñ
ham aise sar-phiroñ ko kaam kyā hai marg o hastī se
ye sab hai shoḳhi-e-nāz-e-masīhā.ī samajhte haiñ
ham ai ḳhalvat-nashīñ āḳhir meñ tere dekhne vaale
ye kyuuñ hai ehtimām-e-mahfil-ārā.ī samajhte haiñ
ridā-e-pākī-o-taqvā kī azmat meñ to kyā shak hai
'ravish' ham to ġhubār-e-kū-e-rusvā.ī samajhte haiñ