ham mai-kashoñ ke qadmoñ par akasr
jhuk jhuk ga.e haiñ mehrāb-o-mimbar
sharmā.egā ab tā-hashr tūfāñ
TuuTī huī ik kashtī Dubo kar
ab sham-e-hasrat lau de uThī hai
ai sarsar-e-ġham dāman bachā kar
āshuftagī ko niiñd aa chalī hai
barham na ho vo zulf-e-mo.ambar
kyā ab bhī koī fardā hai baaqī
kis soch meñ ho ai ahl-e-mahshar
kyā tanz-e-daurāñ kyā hūr-e-ḳhūbāñ
dil hī sitam-kash dil hī sitamgar
chup haiñ 'ravish' ab arbāb-e-dānish
the tanz kyā kyā ahl-e-junūñ par