Ravish Siddiqi

KHalwati-e-KHayal ko hosh mein koi lae kyun

Ravish Siddiqi

Saharanpur, Uttar pradesh, India

1909-1971
ḳhalvati-e-ḳhayāl ko hosh meñ koī laa.e kyuuñ
shola-e-tūr hī sahī ham se nazar milā.e kyuuñ
ham se kuchh aur hī kahā un se kuchh aur kah diyā
bād-e-sabā ye kyā kiyā tū ne ye gul khilā.e kyuuñ
qais kā hāsil-e-junūñ naaqa o mahmil o hijāb
lailā-e-najd-āshnā ḳhalvat-e-dil meñ aa.e kyuuñ
aql harīs-e-ḳhār-o-ḳhas sūrat-e-shola-e-havas
daulat-e-soz-e-jāvedāñ aql ke haath aa.e kyuuñ
gardish-e-mehr-o-māh bhī gardish-e-jām ban ga.ī
sub.h na laḌkhaḌā.e kyuuñ shaam na jhuum jaa.e kyuuñ
tālib-e-hujla-e-bahār dasht-e-talab hai ḳhārzār
vaqt kisī kī raah meñ masnad-e-gul bichhā.e kyuuñ
hashr meñ husn se 'ravish' shikva-e-rū-ba-rū ġhalat
roz-e-azal kī baat hai aaj hī yaad aa.e kyuuñ
Top Urdushayar.com