Ravish Siddiqi

wo barq-e-naz gurezan nahin to kuchh bhi nahin

Ravish Siddiqi

Saharanpur, Uttar pradesh, India

1909-1971
vo barq-e-nāz gurezāñ nahīñ to kuchh bhī nahīñ
magar sharīk-e-rag-e-jāñ nahīñ to kuchh bhī nahīñ
hazār dil hai tirā mashriq-e-mah-o-ḳhurshīd
ġhubār-e-manzil-e-jānāñ nahīñ to kuchh bhī nahīñ
bahār-e-gul-kada-e-nāz dil-kushā hai magar
nasīm-e-shauq ḳhirāmāñ nahīñ to kuchh bhī nahīñ
hai ḳhalvat-e-dil-e-vīrāñ hī manzil-e-mahbūb
ye ḳhalvat-e-dil-e-vīrāñ nahīñ to kuchh bhī nahīñ
har ek saañs ho ātish-kada to kyā hāsil
gudāz shola-e-pinhāñ nahīñ to kuchh bhī nahīñ
baġhair ishq hai rūdād-e-zindagī tārīk
ye lafz zīnat-e-unvāñ nahīñ to kuchh bhī nahīñ
bahut buland hai dil kā maqām-e-ḳhuddārī
magar shikast kā imkāñ nahīñ to kuchh bhī nahīñ
sukūn-e-shauq ho yā iztirāb-e-shauq 'ravish'
agar ba-manzila-e-jāñ nahīñ to kuchh bhī nahīñ
Top Urdushayar.com