zindagī jab se shanāsā-e-muhāllāt huī
sach to ye hai ki ḳhud apne se mulāqāt huī
parda-e-ġham jise samjhā thā vahī ḳhāmoshī
kal tirī bazm meñ mauzū-e-hakāyāt huī
ham ko ai qāfila-e-shauq ye kyā yaad rahe
ki huī sub.h kahāñ aur kahāñ raat huī
tirī duz-dīda-nigāhī kā ḳhayāl aate hī
dil meñ ik raushni-e-kashf-e-hijābāt huī
is qadar sahl kahāñ marhala-e-soz-o-gudāz
raat bhar sham.a kā jalnā bhī koī baat huī
pās-e-ādāb-e-mohabbat ki ba-īñ raaz o niyāz
muddatoñ bād-e-sabā se na koī baat huī
jis kī mahfil ko 'ravish' jannat-e-fardā kahiye
kal usī ḳhusrav-e-ḳhūbāñ se mulāqāt huī