us se baḌh kar to koī be-sar-o-sāmāñ na milā
dil milā jis ko magar dard-e-ġharībāñ na milā
ik zarā zauq-e-tajassus meñ baḌhāyā thā qadam
nik.hat-e-gul ko phir āġhosh-e-gulistāñ na milā
baat itnī sī hai ai vā.iz-e-aflāk-nashīñ
kyā milegā use yazdāñ jise insāñ na milā
un se ab tazkira-e-daulat-e-kaunain hai kyuuñ
jin ġharīboñ ko tirā gosha-e-dāmāñ na milā
ḳhūbī-e-daulat-o-dānish pe nazar hai sab kī
koī us daur meñ dil-dāda-e-insāñ na milā