Ravish Siddiqi

pas-e-wahshat hai to yaad-e-ruKH-e-laila bhi na kar

Ravish Siddiqi

Saharanpur, Uttar pradesh, India

1909-1971
pās-e-vahshat hai to yād-e-ruḳh-e-lailā bhī na kar
ishq ko qaidī-e-zanjīr-e-tamannā bhī na kar
mauj-e-ḳhuddār agar hai to sū-e-ġhair na dekh
kisī tūfāñ kisī sāhil kā bharosā bhī na kar
zīnat-e-dahr ik ārā.ish-e-bātil hī sahī
nigah-e-shauq ko mahrūm-e-tamāshā bhī na kar
shirk hai shirk ye ai vā.iz-e-āshufta-ḳhayāl
ġham-e-uqbā ko sharīk-e-ġham-e-duniyā bhī na kar
kaif-añgez nahīñ bāda-e-imroz na ho
dil ko hasrat-kash-e-paimāna-e-fardā bhī na kar
mahram-e-rāz-e-mohabbat hai agar dil terā
to ḳhudā ke liye is raaz ko rusvā bhī na kar
hairat-e-shauq hī ban jaa.e na ġhammāz 'ravish'
to is andāz se nādāñ use dekhā bhī na kar
Top Urdushayar.com