zahr-e-chashm-e-sāqī meñ kuchh ajiib mastī hai
ġharq kufr o īmāñ haiñ daur-e-mai-parastī hai
sham.a hai sar-e-mahfil kuchh kahā nahīñ jaatā
shola-e-zabāñ le kar baat ko tarastī hai
zulf-e-yār kī zad meñ dair bhī hai kaaba bhī
ye ghaTā jab uThtī hai duur tak barastī hai
aaj apnī mahfil meñ hai balā kā sannāTā
dard hai na taskīñ hai hosh hai na mastī hai
kaun jā ke samjhā.e ḳhud-parast duniyā ko
kyā sanam-parastī hai kyā ḳhudā-parastī hai
saḳht jān-levā hai sādgī mohabbat kī
zahr kī kasauTī par zindagī ko kastī hai
ham to rah ke dillī meñ DhūñDte haiñ dillī ko
pūchhiye 'ravish' kis se kyā yahī vo bastī hai