Zia Faruqi

zamin pe maktab-e-adam ka ek nisab hai ishq

Zia Faruqi

1947
zamīñ pe maktab-e-ādam kā ik nisāb hai ishq
likhī ga.ī jo azal meñ vahī kitāb hai ishq
hudūd-e-zāt ke andar bhī shor-o-shar us kā
hudūd-e-zāt ke bāhar bhī iztirāb hai ishq
junūñ kī tah se jo ubhre to gauhar-e-nāyāb
havas kī mauj pe aa.e to ik habāb hai ishq
kisī savāl kī sūrat hai kā.enāt tamām
aur is savāl kā āsān sā javāb hai ishq
sameT leñ jo nigāheñ to husn-e-lailā tak
bikher deñ jo fazā meñ to be-hisāb hai ishq
varaq varaq pe hai bikhrā mire vajūd kā rañg
ye kis ke haath kī likkhī huī kitāb hai ishq
fazā-e-lailā-e-shab meñ hai raushnī us kī
'ziyā'-e-naḳhvat-e-shīrīñ kā āftāb hai ishq
Top Urdushayar.com