daur-e-sabūhī shola-e-mīnā raqsāñ chhāñv meñ tāroñ kī
pīr-e-muġhāñ ne jaam uThāyā iid huī mai-ḳhvāroñ kī
kitne hī dar khul jā.eñge josh-e-junūñ ko baḌhne do
band rahegā kyā dar-e-zindāñ ḳhair nahīñ dīvāroñ kī
kāfir-e-ishq samajh kar ham ko kitne tūfāñ uThte haiñ
dil kī baat ko kis se kah deñ bastī hai dīñ-dāroñ kī
pās-e-adab se ik ik kāñTā ham ne chunā hai palkoñ se
āḳhir kuchh tāzīm thī lāzim dasht-e-vafā ke ḳhāroñ kī
kitne dukh ke din biite haiñ is kā bhī thā hosh kahāñ
apne haal ko kuchh samjhā huuñ sūrat se ġham-ḳhvāroñ kī
zulf-e-pareshāñ raaz kī juuyā bād-e-sabā yaksar ġhammāz
baat tirī ḳhalvat tak pahuñchī ham vahshī āvāroñ kī
mausam-e-gul kī rānā.ī ne dasht meñ Dere Daale haiñ
tum bhī 'ravish' ab ghar se niklo rut aa.ī hai bahāroñ kī