kahne ko sab fasāna-e-ġhaib-o-shuhūd thā
dar-parda isti.āra-e-shauq-o-numūd thā
samjhā na bul-havas kise kahte haiñ intizār
nādāñ asīr-e-kasmakash-e-der-o-zūd thā
kyā āshiqī meñ hausla-e-marg-o-zindagī
ḳhvāb o ḳhayāl marhala-e-hast-o-būd thā
sochā thā mai-kada hī sahī gosha-e-najāt
dekhā to ik hujūm-e-rusūm-o-qayūd thā
jaañ shād-kām-e-bosa-e-pā-e-sanam huī
kitnā buland tāla-e-zauq-e-sujūd thā
ye ishq thā ki jis ne diyā rañg-e-shola-tāb
aalam tamām naqsh-e-sukūt-o-jumūd thā
ai dost ab vo daur-e-ta.ammul guzar chukā
jab dāman-e-nazar pe ġhubār-e-hudūd thā
shab ham ġhazal-sarā the 'ravish' bazm-e-nāz meñ
sham-e-adab-shanās ke lab par durūd thā