havas-e-ḳhalvat-e-ḳhurshīd-o-nishāñ aur sahī
duur hai sub.h to ye ḳhvāb-e-girāñ aur sahī
kuchh shikasta sā hai rañgīnī-o-nik.hat kā tilism
yahī bedād-e-ḳhizāñ hai to ḳhizāñ aur sahī
marhale dānish-e-hāzir ke to sab ḳhatm hue
ik qadam jānib-e-aqlīm-e-gumāñ aur sahī
merī palkeñ bhī girāñ-bār rahī haiñ ai dost
ab ye aañsū tire dāman pe girāñ aur sahī
jalva-e-husn-e-butāñ se hai agar dil kā ziyāñ
ai ḳhudā-vand mire dil kā ziyāñ aur sahī
saiñkaḌoñ ruḳh haiñ mohabbat kī kahānī ke 'ravish'
ek andāz-e-hadīs-e-digrāñ aur sahī