Ravish Siddiqi

lagi hai bhiD baDa mai-kade ka nam bhi hai

Ravish Siddiqi

Saharanpur, Uttar pradesh, India

1909-1971
lagī hai bhiiḌ baḌā mai-kade kā naam bhī hai
kuchh is meñ ḳhūb-e-rindān-e-tishna-kām bhī hai
junūn-e-shauq ne dil ko kiyā tabāh magar
kuchh is meñ tere taġhāful kā ehtimām bhī hai
kitāb-e-zīst hai yaksar hikāyat-e-ġham-e-dil
hikāyat-e-ġham-e-dil harf-e-nā-tamām bhī hai
sukūn-e-ahl-e-ḳharābāt-e-ishq kyā kahiye
rukī rukī sī yahāñ umr-e-tez-gām bhī hai
butān-e-shahr ham ahl-e-vafā se haiñ be-zār
butān-e-shahr ko ahl-e-vafā se kaam bhī hai
vo shaḳhs apnī jagah hai muraqqa-e-tahzīb
ye aur baat hai ki qātil usī kā naam bhī hai
charāġh-e-sub.h kī afsurdagī nahīñ tanhā
kahīñ qarīb yahīñ āftāb-e-shām bhī hai
dar-e-sanam pa ruke haiñ magar ba-zer-e-qadam
hazār silsila-e-gardish-e-mudām bhī hai
jo ḳhalvatoñ meñ sukūt-āshnā rahā sadiyoñ
vahī 'ravish' se sar-e-bazm ham-kalām bhī hai
Top Urdushayar.com